sukhan fareb koi mehrban ki tarah dayar-e-husn hai duniya ki dastan ki tarah ye muskuraati hui subd-o-sham-o-shab ki dulhan dil-o-nazar ke liye sud-e-be-ziyan ki tarah ye imtizaj-o-zar-e-shirq-o-gharb ka culture nigah-e-husn liye ishq aashiqan ki tarah harir-o-resham-o-diba mein rang-e-naz-o-ada sukun-e-dil ke liye hain qarar-e-jaan ki tarah ye rang rang ke unwan liye hasin chehre sanam-kadon mein takhayyul ke hain butan ki tarah sudaul jism ki sard-e-rawan sar-e-rahe chale hain naz se huran-e-asman ki tarah ye lahki mahki fazaen ye dil-ruba paikar gulon ke rang mein dube hue jahan ki tarah ye rabt-o-raqs-o-tarannum hawa ki lahron mein qadam qadam pe ada-ha-e-mah-wishan ki tarah ye jagmagati hui raat ye dahakte kanwal nujum-o-mah-o-surayya-o-kahkashan ki tarah ye mere khwabon-khayalon ki apsara jis mein nigah-e-fikr-o-amal tir ki kaman ki tarah magar watan bhi chhuta 'daur' dil ki dil mein rahi ye bambai bhi na ho khwab-e-digaran ki tarah