mujhe sabz hairat se kyun dekhte ho wahi titliyan jama karne ki hobby idhar khench lai magar titliyan itni zirak hain hijrat ke tute paron par hawa ke doshaale mein lipti mere khauf se ajnabi jangalon mein kahin ja chhupin aur thak haar kar wapsi mein sarakte hue ek patthar se bachte hue is taraf main ne dekha to aisa laga ye pahadi kisi dew-haikal farishte ka juta hai tum katthai chhaal ke tang moze mein ek pair dale ye juta pahanne ki koshish mein langda rahe dusri tang shayad kisi aalami jang mein ud gai hai mera jal khali magar dil masarrat ke ehsas se bhar gaya tum usi bankpan se usi tarha ganji pahadi par apni hari wig lagae khade ho ye haiat-kazai jo bhai to nazdik se dekhne aa gaya hun zara apne pankhe hila do mujhe apne daman ki thandi hawa do bahut thak gaya hun