is qadar tera o sard hargiz na tha dil ka mausam kabhi ek pal mein khuda jaane kya ho gaya chand ki wadiyon mein utar aai shab! main wo tanha subuk-pa musafir tha takmil ki justuju khinch lai thi ek roz jis ko yahan aarzu thi mujhe main zamin ke liye meri tarrar purkar chashm-e-nihan faslon sarhadon waqt ke sab hisaron ke us par ki shahr-e-imroz mein an-ginat khubsurat tasawir aawezan kar degi jab dur ki har pur-asrar sarshaar aawaz mere lahu mein utar jaegi mere daman ko phulon se bhar jaegi sard se sard-tar har ghadi ho rahi hai rag-o-pai mein bahte anasir ki rau shab guzar jaegi chand ki munjamid wadiyon mein sulagti hui raushni subh-dam ek pal mein umand aaegi mujh ko dar hai magar saat-e-nau ke hangam se peshtar tera sard shab ka bhayanak amal dil ke aafaq par ho na jae kahin maut tak hukmaran khatm ho jae takmil ki dastan!!