wahi zar-kar zulfen thin wahi afrangiyon ki nilgun aankhen koi mahrum-e-takht-o-taj shahzadi kisi luti hui basti ki barbaadi panah-khwahon ke markaz mein khadi thi ek khayal-e-zard ki surat sharar-e-sard ki surat wo un rahon se aai thi jahan par ghol phirte hain jahan dukh dandanate hain jahan par haul phirte hain jise us ke badan se jo mila us ka utha kar le gaya tha koi bazu koi gardan koi sina chura kar le gaya tha wufur-e-shauq se main us ki jaanib hath phailae badha abhi main us ko apna jaan kar do bol hamdardi ke bolunga magar ye soch kar main dar gaya mere qadmon se us ke jism tak ka fasla jaise lahu se bhar gaya wo nasrani nikal aai to padhne wali girhen main kaise kholunga panah-khwahon ke markaz mein numainda tha main markaz ka wo faqat ek posni masum ladki thi