pand-nama

ai majaz ai tarana-bar majaz
zinda paighambar-e-bahaar majaz

ai baru-e-saman-wishan gul-posh
ai ba ku-e-mughan tamam kharosh

ai parastar-e-mah-rukhan-e-jahan
ai kaman-dar-e-shairan-e-jawan

tujh se taban jabin-e-mustaqbil
ai mere sina-e-umid ke dil

ai majaz ai mubassir-e-khad-o-khal
ai shuur-e-jamal o sham-e-khayal

ai surayya-fareb o zohra-nawaz
shair-e-mast o rind-e-shahid-baz

naqid-e-ishwa-e-shabab hai tu
subh-e-farda ka aaftab hai tu

tujh ko aaya hun aaj samjhane
haif hai tu agar bura mane

khud ko gharq-e-sharab-e-nab na kar
dekh apne ko yun kharab na kar

shairi ko teri zarurat hai
daur-e-farda ki tu amanat hai

sirf teri bhalai ko ai jaan
ban ke aaya hun naseh-e-nadan

ek thahraw ek takan hai tu
dekh kis darja dhan-pan hai tu

nang hai mahz ustukhan hona
sakht ihanat hai na-tawan hona

ustukhwani badan dukhani post
ek sangin jurm hai ai dost

sharm ki baat hai wajud-e-saqim
na-tawani hai ek gunah-e-azim

jism aur ilm turfa taqat hai
yahi insan ki nubuwwat hai

jo zaif-o-alil hota hai
ishq mein bhi zalil hota hai

har hunar ko jo ek daulat hai
ilm aur jism ki zarurat hai

kasrat-e-baada rang lati hai
aadmi ko lahu rulati hai

khush-dilon ko rula ke hansti hai
sham-e-akhtar bujha ke hansti hai

aur jab aafat jigar pe lati hai
rind ko maulwi banati hai

mai se hota hai maqsad-e-dil faut
mai hai buniyaad-e-maulwiyyat-o-maut

kan mein sun ye baat hai nashtar
maulwiyyat hai maut se bad-tar

is se hota hai kar-e-umr tamam
is se hota hai aql ko sarsam

is mein insan ki jaan jati hai
is mein shair ki aan jati hai

ye zamin aasman kya shai hai
aan jae to jaan kya shai hai

gauhar-e-shah-war chun pyare
mujh se ek gur ki baat sun pyare

gham to banta hai chaar din mein nashat
shadmani se rah bahut mohtat

gham ke mare to ji rahe hain hazar
nahin bachte hain aish ke bimar

aan mein dil ke par hoti hai
pankhudi mein wo dhaar hoti hai

ju-e-ishrat mein gham ke dhaare hain
yakh-o-shabnam mein bhi sharare hain

han sambhal kar latafaton ko barat
tut jae kahin na koi parat

dekh kar shisha-e-nashat utha
ye waraq hai waraq hai sone ka

kaghaz-e-baad ye nagina hai
balki ai dost aabgina hai

saghar-e-shabnam-e-khush-ab hai ye
aabgina nahin habab hai ye

rok le sans jo qarib aae
thes us ko kahin na lag jae

tegh-e-masti ko ehtiyat se chhu
warna tapkega ungliyon se lahu

mastiyon mein hai tab-e-jalwa-e-mah
aur siyah mastiyan khuda ki panah

khub hai ek had pe qaem nasha
halka phulka subuk mulaem nasha

han adab se utha adab se jam
taki aab-e-halal ho na haram

jam par jam jo chadhate hain
unt ki tarah bilbilate hain

zindagi ki hawas mein marte hain
mai ko ruswa-e-dahr karte hain

yaad hai jab 'jigar' chadhate the
kya alif ho ke hin-hinate the

meri gardan mein bhar ke chand aahen
panw se dalte the wo banhen

aql ki maut ilm ki pasti
al-aman lanat-e-siyah masti

uf ghata-top nashshe ka tufan
bhut ifrit dew jin shaitan

lat ghunsa chhadi chhuri chaqu
lib-libahat luab kaf badbu

tanz aawaza barhami ifsad
tan tashnia mazhaka irad

shor hu-haq abe-tabe hai hai
aukhiyan galiyan dhamake qai

mas-masahat ghashi tapish chakkar
soz sailab sansani sarsar

chal-chakhe chikh chunan-chunin chinghad
chakh-chakhe chaun chaun chil-chilhad

lappa-dukki latam lam ladai
haul haijaan hank hatha-pai

khalbali kaon kaon khat-mandal
haunk hangama hamhama halchal

uljhan aawargi udham aithan
bhaunk bhaun bhaun bhinan bhinan bhan-bhan

dhaul-dhappa dhakad-pakad dhutkar
tahlka tu tadaq tuf takrar

bu bhabhak bhay bikas barar bhaunchaal
dabdabe dandanahaten dhammal

gah narmi o lutf o mehr o salam
gah talkhi o turshi o dushnam

aql ki maut ilm ki pasti
al-aman lanat-e-siyah masti

sirf nashshe ki bhigne de masen
in ko banne na de kabhi monchhen

al-aman khaufnak kala nasha
oh rish-o-burut wala nasha

azhdar-e-marg o dew-e-khun-khwari
al-aman nashsha-e-jatadhaari

nashshe ka jhut-puta hai nur-e-hayat
jhutpute ko bana na kali raat

nashshe ki tez raushni bhi ghalat
chaudhwin ki si chandni bhi ghalat

zehn-e-insan ko bakhshta hai jamal
nashsha ho jab ye qadr-e-nur-e-hilal

ghurfa-e-aql bhed to akasr
par use kach-kacha ke band na kar

raat ko lutf-e-jam hai pyare
din ka pina haram hai pyare

din hai ifrit-e-az ki khankar
raat pazeb nazuki jhankar

din hai khashak khak dhul dhuan
raat aaina anjuman afshan

din musallah dawan kamar basta
raat taq-o-rawaq-o-gul-dasta

din hai faulad-e-sang tegh-e-alam
raat kam-khwab pankhudi shabnam

din hai shewan duhaiyan dukhde
raat mast ankhdiyan jawan mukhde

din kadi dhup ki bad-ahangi
raat pichhle pahar ki sarangi

din bahadur ka ban bir ki rath
raat champa-kali anguthi nath

din hai tufan-e-jumbish-o-raftar
raat mizan-e-kakul-o-rukhsar

aaftab-o-sharab hain bairi
botalen din ko hain pachhal pairi

kar na pamal hurmat-e-auqat
raat ko din bana na din ko raat

pi magar sirf sham ke hangam
aur wo bhi ba-qadr-e-yak-do jam

wahi insan hai khurram-o-khursand
jo hai miqdar o waqt ka paband

mere pine hi par na ja meri jaan
mujh se jina bhi sikh hain qurban

us ke pine mein rang aata hai
jis ko jine ka dhang aata hai

ye nasaeh bahut hain besh-baha
jald so jald jag jald naha

bagh mein ja tulua se pahle
ta nigar-e-sahar se dil bahle

sarw-o-shamshad ko gale se laga
har chaman-zad ko gale se laga

munh andhere faza-e-gulshan dekh
sahil o sabza-zar o sausan dekh

gah aawara abr-pare dekh
in ki raftar mein sitare dekh

jaise kohre mein tab-e-ru-e-niku
jaise jangal mein raat ko jugnu

gul ka munh chum ek tarannum se
nahr ko gudguda tabassum se

jism ko kar araq se nam-alud
taki shabnam padhe lahak ke darud

phenk sanjidgi ka sar se bar
nach uchhal dandana chhalangen mar

dekh aab-e-rawan ka aaina
daud sahil pe tan kar sina

mast chidiyon ka chahchahana sun
mauj-e-nau-mashq ka tarana sun

bostan mein saba ka chalna dekh
sabza o sarw ka machalna dekh

shabnam-alud kar sukhan ka libas
chakh dhundalke mein bu-e-gul ki mithas

shairi ko khila hawa-e-sahar
is ka nafqa hai teri gardan par

raqs ki lahr mein ho gum lab-e-nahr
yun ada kar urus-e-sher ka mahr

jazb kar bostan ke naqsh-o-nigar
zehan mein khol misr ka bazar

narm jhonkon ka aab-e-haiwan pi
bu-e-gul rang-e-shabnamistan pi

gun-guna kar nazar utha kar pi
subh ka shir daghdagha kar pi

taki mujre ko aaen kul barkat
daulat jism o ilm o aql o hayat

ye na tana na ye ulahna hai
ek nukta bas aur kahna hai

ghaibat-e-nur ho ki kasrat-e-nur
zulmat-e-tam ho ki shoala-e-tur

ek sa hai wabaal donon ka
tirgi hai maal donon ka

darkhur-e-sahab-e-maal nahin
har wo shai jis mein e'tidal nahin

shadmani se pi nahin sakta
jis ko hauka ho ji nahin sakta

ai pisar ai baradar ai hamraaz
ban na is tarah dur ki aawaz

koi bimar tan nahin sakta
khadim-e-khalq ban nahin sakta

khidmat-e-khalq farz hai tujh par
daur-e-mazi ka qarz hai tujh par

asr-e-hazir ke shair-e-khuddar
qarz-dari ki maut se hoshyar

zehn-e-insaniyat ubhaar ke ja
zindagani ka qarz utar ke ja

tujh pe hindostan naz kare
umr teri khuda daraaz kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close