rahm ai naqqad-e-fan ye kya sitam karta hai tu koi nok-e-khar se chhuta hai nabz-e-rang-o-bu shaeri aur mantaqi bahsen ye kaisa qatl-e-am bursh-e-miqraaz ka deta hai zulfon ko payam kyun utha hai jins-e-shaer ke parakhne ke liye kya shamim-e-sumbul-o-nasrin hai chakhne ke liye ai adab na-ashna ye bhi nahin tujh ko khayal nang hai bazm-e-sukhan mein madrase ki qil-o-qal mantaqi kante pe rakhta hai kalam-e-dil-pazir kash is nukte ko samjhe teri tab-e-harf-gir yani ek lai se lab-e-naqid ko khulna chahiye pankhudi par qatra-e-shabnam ko tulna chahiye sher-fahmi ke liye hain jo sharait be-khabar soch tu pura utarta bhi hai us mear par jalte dekha hai kabhi hasti ke dil ka tu ne dagh aanch se jis ki ghiza pata hai shaer ka dimagh dil se apne puchh o zindani-e-ilm-e-kitab husn-e-qudarat ko bhi dekha hai bar-afganda-naqab tu pata asrar-e-hasti ka lagata hai kabhi aalam-e-mahsus se bahar bhi jata hai kabhi kya wahan bhi ud ke pahuncha hai kabhi ai nukta-chin kanpta hai jis faza mein shahpar ruh-ul-amin khamushi ki naghma-rezi par bhi sar dhunta hai tu qalb-e-fitrat ke dhadakne ki sada sunta hai tu ab buton ki bazm mein tu bhi hua hai baryab khak ko parchhaiyan jin ki banati hain gulab jo tabassum chhin lete hain shab-e-mahtab se jin ki barnai jagati hai dilon ko khwab se sach bata tu bhi hai kya ai kushta-e-sad-hirs-o-az raaz-dan-e-kakul-e-shab-rang o chashm-e-nim-baz teri nabzon mein bhi machli hai kabhi bijli ki rau soz-e-gham se tera dil bhi kya kabhi deta hai lau sach bata ai aashiq-e-derina-e-fikr-e-maash zahr mein tiryak ke unsur ki bhi ki hai talash mujh se aankhen to mila ai dushman-e-soz-o-gudaz tujh pe kya azdad ki tauhid ka ifsha hai raaz teri raaton ki siyahi mein bhi ai zulmat-maab kya kabhi tale hua hai muskura kar aaftab tu gaya bhi hai nigar-e-gham ki mahmil ke qarib aanch si mahsus hoti hi kabhi dil ke qarib taur-e-mani par bhi ai na-faham chadh sakta hai tu kya musannif ki kitab-e-dil bhi padh sakta hai tu ye nahin to pher le aankhen ye jalwa aur hai teri duniya aur hai shaer ki duniya aur hai sher ki tahlil se pahle meri taqrir sun khud zaban-e-sher se aa sher ki tafsir sun dil mein jab ashaar ki hoti hai barish be-shumar nutq par bunden tapak padti hain kuchh be-ikhtiyar dhaal leti hai jinhen shaer ki tarkib-e-adab dhal ke go wo gauhar-e-ghaltan ka pati hain laqab aur hoti hain tajalli-bakhsh taj-e-zar-fishan phir bhi wo shaer ki nazron mein hain khali sipiyan jin ke asrar-e-darakhshan ruh ki mahfil mein hain sipiyan hain nutq ki maujon pe moti dil mein hain shaeri ka khanaman hai nutq ka luta hua us ka shisha hai zaban ki thes se tuta hua chhae rahte hain jo shaer ke dil-e-sarshaar par tut kar aate hain wo naghme lab-e-guftar par jagte rahte hain dil ki mahfil-e-khamosh mein band kar lete hain aankhen nutq ke aaghosh mein log jin ki jaan-gudazi se hain dil pakde hue khokhle naghme hain wo auzan mein jakde hue sher ho jata hai sirf ek jumbish-e-lab se nidhaal sans ki garmi se pad jata hai is shishe mein baal jam mein aate hi ud jati hai shaer ki sharab tut jata hai kinare aate aate ye hubab is se badh kar aur ho sakti hai kya hairat ki baat sher ko samjha agar shaer ki tu ne kaenat sher kiya jazb-e-darun ka ek naqsh-e-na-tamam mushtaba sa ek ishaara ek mubham sa kalam kaif mein ek laghzish-e-pa click-e-gauhar-bar ki iztirari ek jumbish si lab-e-guftar ki ek saut-e-khasta-o-mauhum saz-e-zauq ki murtaish si ek aawaz intiha-e-shauq ki be-haqiqat nai ke andar zamzama daud ka aariz-e-mahdud par ek aks la-mahdud ka 'sher' kya aql o junun ki mushtarak bazm-e-jamal 'sher' kya hai ishq o hikmat ka maqam-e-ittisal zulmat-e-ibham mein parchhain tafsilat ki pech o kham khate bagule mein chamak zarraat ki ju-e-qudarat ki rawani dasht-e-masnuat mein tutna rangin sitare ka andheri raat mein sher kya hai nim bedari mein bahna mauj ka barg-e-gul par nind mein shabnam ke girne ki sada tar-zabani aur khamoshi ki mubham guftugu lafz o mani mein tawazun ki nahufta aarzu baadalon se mah-e-nau ki ek uchatti si ziya jhankna qatre ke rauzan se urus-e-bahr ka mar ke bhi tu shaeri ka bhed pa sakta nahin aql mein ye masala nazuk hai aa sakta nahin tu samajhta tha jo kahna chahiye tha kah gaya puchh shaer se ki wo kya kah saka kya rah gaya kaun samjhe sher ye kaise hain aur kaise nahin dil samajhta hai ki jaise dil mein the waise nahin