ghata hai ghanghor raat kali faza mein bijli chamak rahi hai milan ka sina ubhaar par hai birah ki chhati dhadak rahi hai hawa jo masti mein chur ho kar qadam qadam par bahak rahi hai kamar hai har shakh-e-gul ki nazuk thahar thahar kar lachak rahi hai hawa pe chalta hai hukm in ka ghataen bharti hain in ka pani inhin se surkhi bahaar ki hai inhin se barsat ki kahani inhin se chashme inhin se jharne inhin se jharnon ki naghma-khwani inhin se parbat inhin se dariya inhin se dariyaon ki rawani fareb de kar chali na jaen badi dhuen-dhaar hain ghataen jab aa gai hain to jam ke barse baghair barse na laut jaen mile naya sab ko ek jiwan chaman khilen khet lahlahaen hawa mohabbat ka rag alape kisan dharti ke git gaen yahan pe hai sab ka ek darja koi bhi chhota bada nahin hai jahan pe ho imtiyaz is ka wo mai-kada mai-kada nahin hai nikal zara ghar se gham ke mare urus-e-fitrat ke kar nazare saza samajh kar na kat pyare ye zindagi hai saza nahin hai kiya hai jis jis ne dur andhera use use raushni mein lao jahan jahan dafn hai ujala wahan wahan par diye jalao qasam hai aazadi-e-watan ki adawat aapas ki bhul jao kiya ho jis ne gila tumhaara use bhi badh kar gale lagao qadam jo aage badhae sab ki zaban se doharao wo kahani 'nazir' pandrah august se lo nae irade nai jawani hawa se kah do ki saz chhede amar shahidon ke bankpan ka sunao yaro watan ke naghme ye din hai aazadi-e-watan ka