uthenge maut se pahle usi safar ke liye jise hayat ke sadmon ne multawi na kiya wo hum ki phul ki lau ko fareb dete the qarib-e-sham sitaron ki rahguzar pe chale wo hum ki taza jahan ke naqib-e-zan the nae saba ki chaal se aage hamari chaal rahi magar guman ke qadmon ne us ko tai na kiya wahi safar jo hamare aur us ke bich raha jise hayat ke sadmon ne multawi na kiya utha ke hath mein neze pila ke aab-e-sarab kamin-gah-e-hawas se nishane dil ke liye tamam samt se aai shahabiyon ki sipah hamari zat ko ghera misal-e-lashkar-e-sham hazar bar ulajh ke phata libas-e-yaqin magar tali na kabhi us mubahise se zaban jo sakinan-e-zamin aur hamare bich hua rah-e-waqar pe baithe the aaine le kar jinhen sabaat pe koi bhi ikhtiyar na tha thama ke hath mein gham ke buraq-e-dil ki inan nikal gae na ruke ruh ki hadon se idhar falak ke kohna dariche salam karte rahe magar charagh ka saya abhi wajud mein hai zarur apne hisaron mein lega nur-e-dimagh sahar ke waqt badhega ghunudgi ka asar daraaz hoga wahin dard ke shabab ka qad mila ghubar ki surat jahan nasib ka phal jahan shikar hua hai meri zaban ka hunar wahin se dhund ke laenge aadmi ki khabar uthenge maut se pahle usi safar ke liye