dosh par gagar uthae naz farmati hui aa rahi hai aaj wo panghat pe kuchh gati hui baj rahi hain ghat par phir husn ki shahnaiyan wajd karti hai zamin madhosh sa hai aasman apni apni gagaron ko bhar rahi hain dewiyan ye faza-e-sham hai ya koi naghmon ka jahan gungunati muskuraati kaif barsati hui sari duniya jhumti sari faza gati hui kyon mujhe hota hai ehsas-e-tabahi kya karun ek khalish si hai mere dil mein ilahi kya karun is qadar aakhir tabiat aaj ghabraati hai kyon kuchh nahin khulta ki dil mein baat ye aati hai kyon apne dil ki baat thi is ko mita sakta nahin uf re mahrumi ishaare se bula sakta nahin mast aankhon se shabab-e-ruh barsati hui ja rahi hai wo mere arman ko thukraati hoi