hasin khwabon ki aarzu thi ki chand taron ki anjuman mein bahaar-e-rangin ki justuju mein faza-e-dilkash ki khamushi mein charagh-e-millat ki lau badhae naqib-e-subh-e-jamil ban kar mile the hum ahl-e-karwan se jo su-e-manzil rawan-dawan the ajab irade hazar wade unhin iradon ki raushni mein yaqin-e-mohkam ke ban ke paikar lahu ke dariya se par ho kar masarraton ki baraat le kar nai umangon ko sath le kar ummid-e-farda se lau lagae chale the lane naya sawera magar jo khurshid-e-subh nikla tilism-e-khwab-o-khayal tute na chand taron ki anjuman thi na rang-o-nikhat ki justuju thi