pani par ek taswir hamari ubhri thi ek taswir zamane ki aur kabhi ye taswiren aapas mein gadmad ho jatin ek duje mein ghul-mil jatin phir se juda ho jati thin pani ke ek qatre ne in aaankhon mein dekho kaisa khel rachaya jaane kaisa pani tha us pani par bahte kaise kaise bazar lage the kaisi kaisi taswiren jaane kaun tha hum apne kurte ke daman se kis ke aansu ponchh rahe the phir ek lahr uthi sara bazar is bazar mein, hum donon gahre pani mein dub rahe the