pani

kal raat jab apni zulfen faza mein bikhra chuki thi
aur thaka hua aalam

us ke gudaz ubhaaron se lipta so raha tha
main be-khwabi ka mara

apne kamre mein us ki pindliyan sahla raha tha
bath-room mein pani ki ek toti se

tap tap ki aawaz aa rahi thi
main ne socha pani to waqt ki alamat hai

ye baath-room mein bund bund gir raha hai
agar jo tuti ko main kas dun

kya waqt ka bahna ruk jaega
kya kun-fa-yakun se pahle aise hi

waqt ek pipe mein thahra tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close