har taraf katranen hain wo gudiya yahin thi magar ab dikhai nahin de rahi aur ye dhage, yaqinan wo gesu hain jin ke liye meri raaten katin rui dhunki hui hai kahin khun ka koi dhabba nahin ek taraf us ki poshak udhdi padi hai udhar us ki aankhen, kate abruon se alag, khauf-o-dahshat mein luthdi hui har taraf katranen hain badan resha resha hai niche ka dhad chil kawwe utha le gae labon ka lahu jam gaya hai (lahu jo yaqinan kisi aur ka hai) gale par kisi gurg ke dant khinche hue hain wo gudiya nahin hai magar har taraf katranen hain main aainda gudiya ki khatir kapas aur dhage nahin launga katranen le ke apni kisi aur jaanib nikal jaunga