abr se ek din ye hawa ne kaha main to pedon se patte chura lai hun tund wahshi bagule uda lai hun mujh mein taqat hai is se ye sabit hua sanwle ho salone ho chanchal ho tum mast be-fikr aawara baadal ho tum kitne bechain ho kaise be-kal ho tum aaj suraj ki pagdi uchhaalo zara sun ke ye abr ki aql jati rahi yun hi is ko hawa gudgudati rahi aur khud man hi man muskuraati rahi us ke aage ka dilchasp hai majra abr ki aai shamat to sar ho gai budhe suraj ko lekin khabar ho gai wo padi mar sidhi kamar ho gai pani pani wahin sharm se ho gaya