sunahri dopahron rupahli ruton main suraj-mukhi ke shagufon ke pas chanaron se qad-awar sitaron se nain zar-afshan badan zafrani libas hasin goriyan gungunati phiren matakti phiren dagmagati phiren kadi dhup mein fash-e-zar se tarashi hui pindliyan lahakti phiren thartharaati phiren sajal raston se guzar jaen ye naginon-bhare aabshaaron ki tarah zamanon ke dil mein utar jaen ye lajili katili kataron ki tarah sunahri dopahron ko thandak ata karne wale khayalon ke jadu jagati phiren matakti phiren dagmagati phiren