budha panwadi us ke baalon mein mang hai nyari aankhon mein jiwan ki bujhti agni ki chingari nam ki ek hatti ke andar bosida almari aage pital ke takhte par us ki duniya sari pan kattha cigarette tambaku chuna laung supari umr us budhe panwadi ki pan lagate guzri chuna gholte chhaaliyan katte kath pighlate guzri cigarette ki khali dibiyon ke mahal sajate guzri kitne sharabi mushtriyon se nain milate guzri chand kasili patton ki gutthi suljhate guzri kaun is gutthi ko suljhae duniya ek paheli do din ek phati chadar mein dukh ki aandhi jheli do kadwi sansen lin do chilmon ki rakh undeli aur phir is ke baad na puchho khel jo honi kheli panwadi ki arthi utthi baba allah beli subh bhajan ki tan manohar jhanan jhanan lahrae ek chita ki rakh hawa ke jhonkon mein kho jae sham ko us ka kam-sin baala baitha pan lagae jhan jhan than than chune wali katori bajti jae ek patinga dipak par jal jae dusra aae