dhanak tut kar sej bani jhumar chamka sannate chaunke aadhi raat ki aankh khuli birah ki aanch ki nili lau nai banti hai lai banti hai shahnai jalti roti thi ab sar niwdhae lal papote band kiye baithi hai narm garm hathon ki mehndi ek naya sangit sunati dil ke kiwad pe ruk kar koi raaton mein dastak deta tha dil ke kiwad pe ruk kar wo dastak deta hai pat khulte hain aankh se aankh dilon se dil milte hain ghunghat mein jhumar chhupta hai ghunghat mein mukhde chhupte hain daulat-khan ki dewdhi ke khandaron mein buddha nag khada rota hai gunge sannate bol uthe ghunghat mukhde jhumar pael chamak-damak jhankar amar hai pyar amar hai pyar amar hai pyar ki raat ki aankh umad aati hai aur do phul tannur-e-badan shabnam pi kar so jate hain