main dastan-e-wafa ke is mod par ajab kashmakash mein hun ab ki zehn-o-dil ki ladaiyan to rah-e-wafa ke har ek musafir ki zindagi ka hain juzw-e-lazim hai ab ye mushkil ki dil mein aur mujh mein than gai hai mera ye israr hai milan ki ruton ki pahli sahar tarashun pe dil ba-zid hai ki sham-e-gham ke diye ki lau ko lahu se sinchun main dil ki sachchai par yaqin rakhne wala insan kashmakash mein hun ab ki apni ragon ke amrit se wasl-rut ko jala dun ya phir khatt-e-shikasta mein apni aankhon ke surkh doron se rat-jagon ki bayaz par tera nam likkhun sahar tarashun ki sham likkhun