zarron ke dahakte aiwan mein do shoala-ba-jaan larzan sae masruf-e-naza-e-baham hain ud ud ke ghubar-e-rah-e-adam aiwan ke band darichon se takra ke bikharte jate hain kohre mein panapti samton se nazad hawaon ke jhonke nadida aahani pardon par rah rah ke jhapatte rahte hain ek pal do pul ki baat nahin zarron ke mahal ki baat nahin har resha-e-gul har sang-e-giran har mauj-e-rawan ke sine mein ye bint-e-azal aur bint-e-abad ki shoala-ba-jaan parchhaiyan yun hi sar-garm-e-paikar na jaane kab se hain aur hum hain ki salik-e-rah-e-baqa hathon mein liye fanus-e-fana zarron se gurezan suraj ki nayab shuaon ke arman sinon mein chhupae jate hain khud ko bahlae jate hain