kash ek shab koi chand aisa uge aadatan tu mujhe yun to jis mein dikhe han agar aks ho wo tera aakhri dard ka ho ye manzar mera aakhri us sahar mein khule aankh meri ki jab yun lage jaise tu hai nahin tha nahin wo jo lamhe guzar kar gaya tha kabhi yun lage wo kabhi jaise guzra nahin par khayalat to phir khayalat hain kuchh nahin dil se umda ye jazbaat hain phir ye mumkin kahan gar koi ho mila sath sansen bhari sath roya hansa wo jo hissa ho ek zindagi ka meri ho sabab gham ka ya ho khushi ka meri jo hua hai wo kaise hua hi nahin kaise sochun wo dil mein raha hi nahin wo to tha ab bhi hai aur rahega sada wo gaya tha hi kab jo ki aae bhala apne mazi mein jhankun na paun tujhe ab ye mumkin kahan bhul jaun tujhe ek pal tha abhi tu yahin tha yahin aur pal ye hai ek tu kahin bhi nahin gar nahin tu to yaaden teri kyun rahen zehn-o-dil par ye baaten teri kyun rahen kiya kabhi zindagi aisa hoga nahin wo jo ab hai nahin man lun tha nahin aisa hoga kabhi ho tasalli kabhi yahi hona tha likkha hua bhi yahi jis tarah ek pal mein juda wo hua main bhi kah dun ki ab jo hua so hua par yahi ek hunar mujh ko aaya nahin yaad kar ke ye dil bhul paya nahin lakht-e-dil ki tarah mujh mein rahta hai wo qatra-e-khun sa mujh mein bahta hai wo wo koi shai kahan main jase chhod dun rabta wo kahan main jise tod dun mashq hai rang hai lutf hai khas hai yaad hai yaad to ek ehsas hai yaad main ab kahan chhod aaun tujhe ab ye mumkin kahan bhul jaun tujhe