diary ke ye sada waraq aur qalam chhin lo aainon ki dukanon mein sab apne chehre liye ek barhana tabassum ke mohtaj hain sard bazar mein ek bhi chahne wala aisa nahin jo unhen zindagi ka sabab bakhsh de dhund se jagmagate hue shahr ki battiyan sajda karti hui kahkashan khub-surat khudaon ki phirti hui toliyan aisa lagta hai sab ek muddat se parchhaiyon ko pakadne mein masruf hain!!!