jo zahir na ho wo latafat nahin hai jo pinhan rahe wo sadaqat nahin hai ye fitrat nahin hai mashiyyat nahin hai koi aur shai hai ye ismat nahin hai saba aur gulistan se daman kashida nawa-e-fusun-khez aur na-shunida tajalli-e-rukhsar aur na-damida koi aur shai hai ye ismat nahin hai sar-e-rahguzar chhup-chhupa kar guzarna khud apne hi jazbaat ka khun karna hijabon mein jina hijabon mein marna koi aur shai hai ye ismat nahin hai khayalat-e-paiham mein har waqt gum-sum dil-e-narm-o-nazuk pe abr-e-tawahhum bujha sa tabassum ghuta sa takallum koi aur shai hai ye ismat nahin hai wo ek kahish-e-talkh har aan dil mein wo sham-o-sahar ek khaljaan dil mein umandta hua ek tufan dil mein koi aur shai hai ye ismat nahin hai nigahon ki dawat ko pamal karna mazaq-e-latafat ko pamal karna taqaza-e-fitrat ko pamal karna koi aur shai hai ye ismat nahin hai qasam anjum-e-shab ke zauq-e-safar ki qasam tazgi-e-nasim-e-sahar ki qasam aasmanon ke shams-o-qamar ki koi aur shai hai ye ismat nahin hai qasam shokhi-e-ishq sanjogta ki qasam june ke azm-e-sabr-azma ki qasam tahira ki qasam khalida ki koi aur shai hai ye ismat nahin hai