wahi narm lahja

wahi narm lahja
jo itna mulaem hai jaise

dhanak git ban ke samaat ko chhune lagi ho
shafaq narm komal suron mein koi pyar ki baat kahne chali ho

kis qadar rang-o-ahang ka kis qadar khubsurat safar
wahi narm lahja

kabhi apne makhsus andaz mein mujh se baaten karega
to aisa lage

jaise resham ke jhule pe koi madhur git halkore lene laga ho
wahi narm lahja

kisi shokh lamhe mein us ki hansi ban ke bikhre
to aisa lage

jaise qaus-e-quzah ne kahin pas hi apni pazeb chhankai hai
hansi ko wo rim-jhim

ki jaise faza mein banafshi chamakdar bundon ke ghunghru chhanakne lage hon
ki phir

us ki aawaz ka lams pa ke
hawaon ke hathon mein an-dekhe kangan khanakne lage hon

wahi narm lahja mujhe chhedne par jab aae
to aisa lagega

jaise sawan ki chanchal hawa
sabz patton ke jhanjhan pahan

surkh phulon ki pael bajati hui
mere rukhsar ko

gahe gahe sharare se chhune lage
main jo dekhun palat ke to wo

bhag jae magar
dur pedon mein chhup kar hanse

aur phir nanhe bachchon ki manind khush ho ke tali bajaane lage
wahi narm lahja

ki jis ne mere zakhm-e-jaan pe hamesha shagufta gulabon ki shabnam rakhi hai
bahaaron ke pahle parinde ki manind hai

jo sada aane wale nae sukh ke mausam ka qasid bana hai
usi narm lahje ne phir mujh ko aawaz di hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close