dekh in reshmi pardon ki hadon se bahar dekh lohe ki salakhon se pare dekh sadkon pe ye aawara-mizajon ka hujum dekh tahzib ke maron ka hujum apni aankhon mein chhupae hue arman ki lash qafile aate chale jate hain zindagi ek hi mahwar ka sahaara le kar nachte nachte thak jati hai nachte nachte thak jati hai tere pur-nur shabistan mein koi mast shabab jis ki pazeb ki har lai mein hazaron lashen chandni raat mein bite hue rumanon ki apni har sans se bandhe hue paimanon ki chikhti chikhti so jati hain ye kashakash ye tasadum ye tazad man leta hun ye fitrat ki fusun-kari hai in usulon hi pe qaem hai tamaddun ka nizam tu ye kahta hai to main bhi teri khatir ai dost man leta hun ye insan ki takhliq nahin koi mashuq hai us parda-e-zangari mein tera mashuq mere ahd ka insan to nahin teri tamhid meri nazm ka unwan to nahin