duniya be-sifati ki aankh se dekh ye takwin, zaman, zaminen, masti aur lagan ki lila ek bahlawa hai is bahlawe mein ek dastawez hai jis ka awwal aakhir phata hua hai dudhiya raushan shah-rahon par kitne yug the jin mein khamoshi ke lambe lambe sakte hain barish aur mati ka zikr nahin phir bhi hum ne mani aur imkan ki be-tartibi mein udhar udhar se zinda rahne ka saman kiya khwabon ke gadle pani mein machhli dekh ke harf banae aur chikni mitti ki murat par do aankhen rakkhin ghatti badhti duniyaon tak masti aur lagan ki lila mein ab harf hamare dilon ko raushan rakhte hain lekin jura jura umron ke dalan mein apne-ap ko be-khabari se bharna padta hai nili chhat thandi rakhne ko tan-man nila karna padta hai!