suno ai des ke logo ki ye jo id ka din hai agar pardes mein aae na khushiyan pas hoti hain na koi muskuraata hai khushi gham se lipatti hai udasi muskuraati hai suno ai des ke logo tumhaari yaad aati hai hamein phir yaad aati hain suhane des ki yaaden wo bachpan aur jawani ke suhane din na puchho kis tarah se hum gharon ki baat karte aur phir aansu chhupate hain bujhe dil muskuraate hain suno ai des ke logo hamein shiddat se apna daur-e-bachpan yaad aata hai hamein maon ki mithi mithi mamta yaad aati hai hansati hai rulati hai tasalli ke liye hum ek duje se ye kahte hain dinon ki baat hai hum bhi watan ko laut jaenge yaqinan eid agli apne apne ghar manaenge suno ai des ke logo agar sach baat puchho to gharon ko yaad karne se koi fariyaad karne se thakan se chur hone se bahut majbur hone se kisi ko kuchh nahin milta koi dar bhi nahin khulta