duniya mein kaun marta hai apne makan se dur bhai bahan se biwi se bachchon se man se dur hindostan ka lal hai hindostan se dur ye maut kaisi maut hai sare jahan se dur aisi kadi thi kis ki nazar tujh ko kha gai pardes mein ye kaise tujhe maut aa gai o jaane wale dekh tu apne watan ko dekh khun-e-jigar mein dube hue mard-o-zan ko dekh nausha bana ke bheja tha phulon mein kal tujhe arthi uthane aae hain radha kishan ko dekh kitne hi log aae hain darshan ke waste tair jo mar gaya hai nasheman ke waste bartaniya se rus se japan o misr se har ek safir phul chadhane ko aa gaya lo chudiyan utar lalita bhi aa gai beta chita ko aag lagane ko aa gaya chehra nazar jo aaya to chikhen nigal gain lakhon chitaen jaise kaleje mein jal gain