main jis jagah hun wahan zindagi muamma hai abhi to nauha abhi dil-nawaz naghma hai abhi hayat abhi maut abhi sukun abhi gham ye aspatal ki duniya ajib duniya hai har ek nurse ke lab par hansi sikhai hui jo doctor hai wo apne tain masiha hai bayan-e-shauq ki subhen na arz-e-haal ki sham badi udas si rahti hai aspatal ki sham sawera aae to dil mein dabi dabi ummid phir us ke baad wahi gham wahi malal ki sham main chahta hun yahan bhi hamesha aati rahen ummid-e-shauq ki subhen hasin khayal ki sham jo hon mariz unhen rahat dikhai dene lage har aspatal mein jannat dikhai dene lage