raat ne jab ghadiyon se waqt utha liya ghanti ki tez aawaz ne sare pardon ka rang uda diya kamre mein chaar aadamiyon ne apni apni sansen lin sansen mukhtalif rangon mein thin ek aadmi purane calendar par nishan laga raha tha dusra naya calendar hath mein marod raha tha tisre ka chehra chauthe aadmi ke chehre par lag gaya tha aadmi tin the ye tin samten chor ko kamre ke khali kone ko dekh rahi thin unhen tin samton ko kal sara shahr banna tha wo tinon kamre ke tinon konon mein ja kar khade ho gae aur sochne lage kis ka kona hai jo khali rah gaya hai achanak parda hila aur ek parinda us kone mein aa kar baith gaya tinon ke munh se nikla masum unhen pata chala ki wo waqt ki qaid mein the tinon ne aag jalai aur bole aag jalne tak ye samten hamari rahengi aag chauthe kone mein lagai gai thi zindagi ke rukh badhte ja rahe the suraj ne chaar kirnen kamre ke andar phenkin unhon ne panch panch gaz ka sunahri-pan apne gird lapeta suraj ki tin banhen tut gain unhon ne apni ek ek ungli kati aur bole hum ne apni ungliyon se zindagi ka sukut toda parinda kamre mein rah gaya
This is a great banna ki shayari. True lovers of gandi shayari video will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore karwa chauth shayari. Please share if you liked this!!!