darakhton pe har dam chahakte parinde lubhate hain bachcho rangile parinde hain dilkash wo rangin chidiyon ki daren dikhati hain pat-jhad mein bhi ye bahaaren jhapatti hain murdar par khud hi chilen suhani hain baglon ki halchal si jhilen hai laqwe se karta kabutar hifazat hai titar se aati ragon mein hararat zarurat pe karte hain naql-e-makani ye aadat parindon ki hai ek purani ghiza mil ke khate hain kawwe bhi dekho sabaq ekta ka parindon se sikho tum is raaz ko aaj 'hafiz' se jaano parinde ghiza bhi dawa bhi hain bachcho