log kahte hain aawaz ka ek chehra bhi hota hai andaz bhi jism bhi surkh suraj ka sona darakhton ke us par mahtab ki sim-gun mauj-e-uryan samundar ki aawezishon ka pur-asrar naghma mohabbat ki lazzat ki garmi kabhi shabnami nannhi-munni si lori kahani siyahkar shab mein koi khun-aluda bab-e-adalat mukafat ka silsila dil ki viraniyon se guzarta hua koi harf-e-malamat nadamat a sky full of birds hujum-e-nuqush-e-farawan ka hangam main yaad karta hun aawaz chehra hasin jism sab zawiye daere aur qausen shab-o-roz raftar ki aag mein mauj-dar-mauj bahti hui ragni daur ki wadiyon mein sar-e-sham dam todti raushni naghmagi raushni naghmagi tirgi bebasi khamushi rang-o-khushbu se sarshaar sadiyon purani zamin dur jata hua karwan jism-e-awaz ka wahshi be-zaban ek junun ek makus barham sakun zer-o-bam zer-o-bam iztirab iztirab ajnabi mausamon ka jahan faslon sarhadon se pare wusaton mein pur-afshan parindon bhara nilgun be-karan nilgun aasman a sound has a face a grace and a form. the gold of the sun beyond the trees, the naked ripples of a silvery moon, mysterious song of the turbulent sea, ecstasy of love a soothing lullaby on vicious nights - a tale of blood, crying for blood. in the wastes of heart - shafts of taunts, storms of shame.