pas che-bayad-kard

khwab-e-khas-khana-o-barfab ke pichhe pichhe
garmi-e-shahr-e-muqaddar ke satae hue log
kaisi yakh-basta zaminon ki taraf aa nikle
mauj-e-khun barf hui jati hai sansen bhi hain barf
wahshaten jin ka muqaddar thin wo aankhen bhi hain barf
yaad-e-yaran-e-dil-awez ka manzar bhi hai barf
ek ek nam har aawaz har ek chehra barf
munjamid khwab ki tiksal ka har sikka barf
aur ab sochte hain sham-o-sahar sochte hain
khwab-e-khas-khana-o-barfab se wo aag bhali
jin ke shoalon mein bhi qirtas o qalam zinda hain
jis mein har ahd ke har nasl ke gham zinda hain
khak ho kar bhi ye lagta tha ki hum zinda hain
This is a great sardi garmi shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close