pas-e-diwar-e-zindan pas-e-diwar-e-zindan kaun rahta hai hamein malum kya hum to isi ek aagahi ki aag mein julte hain marte hain ki din ko raat karte hain kabhi ek raushni thi aur sitaron ki chamak thi tazgi thi magar ab bab-e-zindan wa nahin hota hirasan sham ki tanhaiyan hain hamein ab kya khabar kaun rahta hai pas-e-diwar-e-zindan kaun rahta hai pas-e-diwar-e-zindan kaun marta hai