wo dekh ki maujen raqs-kunan hain sath-e-zamin par ganga ki nau-warid aariya hairat mein hain dekh ke shan is dariya ki gangotari se aati hai chali, athkheliyan karti dhaar is ki aazadi hai tewar se ayan matwali hai raftar is ki uttar ki taraf jab uthti hai is qafila-e-maghrib ki nazar padti hui kirnen suraj ki hain dekhte barf ke tudon par har qulla-e-koh-e-himaliya par azmat ke hain baadal chhae hue sinon ko hain tane dew khade ambar se siron ko milae bargad ke darakhton se jangal phaile hain pahad ke daman mein shakhen hain jo un ki saya-fagan zulmat ka saman hai har ban mein phirte hain wo fil-e-mast yahan hai dew ka jin ke qad pe guman ye kali ghata jab daudti hai aata hai nazar haibat ka saman hain rang-ba-rang ke phul khile zinat hai chaman ke shabab un ka khola hai nasim-e-sahar ne abhi kis shan se band naqab un ka aate hain musafir hind mein jo khaibar ke daron se utar ke abhi dekhe the unhon ne lala-o-gul pamir ki wadi mein na kabhi tair bhi yahan paida hain kiye qudrat ne ajab gul-rang-o-hasin gar zamzame un ki raushni sun len yaad aae unhin firdaus-e-barin indr ke akhade ki pariyan gati hain jo dil-kash ragniyan ye loch suron mein un ke nahin ye soz gulon mein un ke kahan suraj ki chamakti hui kirnen hain chhedti thandi hawaon ko bhar deti hain nur-o-hararat se baghon ko aur un ki fazaon ko soti hui sauten chashmon ki uthti hain sab aankhen mal mal kar dhaaren hain jo barf ke pani ki aati hain pahadon se chal kar ai aariyon qadam rakho in hasan bhare gulzaron mein jannat ke maze lutoge sada is pak zamin ki bahaaron mein tum gang-o-jaman ke kinaron par shahr apne nae aabaad karo ga ga ke bhajan kar kar ke hawan ho jao magan dil-shad karo