dil hai ranjur yahan hai ye dastur yahan rahraw aate hain yahan laute jate hain yahan na koi pas-e-wafa aur na ehsas-e-wafa karte hain jaur-o-jafa zulm hai in ko rawa kuchh bharosa hi nahin koi apna hi nahin ajnabi ban ke rahen har jafa dil pe sahen roz bedad nai roz uftad nai kya karen haal bayan bekasi ka hai saman haal-e-dil kuchh na kahen roz bedad sahen har taraf aah-o-buka ek qayamat hai bapa tang hai teri zamin koi kis ja ho makin tu sahaara hai khuda bas bharosa hai tera haal hai un ka bura sun yatimon ki sada bewa maon ki qasam sakht jaanon ki qasam ye shahidan-e-wafa jin ka ghar-bar jala kabhi mukhtar ye the aaj majbur hue pae ab ja ke kahan dil-e-'nashad' aman