main kitni der se aankhen band kiye baithi hun jaise sans lene ko aur zindagi karne ko koi bahana na mil raha ho jaise aansu aur dard be-mani hon jaise apna wajud dusron ki zaruriyat ka ek zariya ho jaise hansi aur khushi aur rang-birangi duniya kisi khwab ka hissa hon main kab se aankhen band kiye baithi hun aur yake-baad-digre kai dhamakon se kitni duniyaen takhliq ho kar ujad chuki hain