kahen na kyun ai qawi tujhe hum ba-sidq-e-dil pasban-e-urdu bana hai teri hi sai-o-kawish se saifiya gulsitan-e-urdu nafas nafas mein tere yaqinan basi hai bu-e-zaban-e-urdu teri nawa hai nawa-e-urdu tera bayan hai bayan-e-urdu dikhain bhopal ko tere hi junun ne jahd-o-amal ki rahen wagarna mayus ho chuke the yahan ke chaara-garan-e-urdu wajud tera sabhi ke haq mein hai chashma-o-abshaar-o-dariya bujhate hain pyas apni apni tujhi se sab tishnigan-e-urdu ise zamana-shanasi teri na hum kahenge to kya kahenge bana diya 'saifiya' ko tu ne jo ek darul-aman-e-urdu tujhi se shahr-e-ghazal ko iqbaaliyat ki manzilen mili hain tere hi azm-o-amal se hai gamzan yahan karwan-e-urdu tera ujala mita raha hai shab-e-jahaalat ki tirgi ko chamak raha hai tu ban ke bhopal mein mah-e-asman-e-urdu khilae hain shakh shakh tu ne yahan pe nutq-o-nawa ke ghunche ghalat nahin hai jo kah rahe hain sabhi tujhe khush-bayan-e-urdu tere azaem ki istaqamat pe sar-ba-kaf hain harif tere khusha ki tere jawan hathon mein aaj bhi hai kaman-e-urdu sad-afrin teri himmaton par sad-afrin teri juraton par sunai hai bazm-e-ghair mein tu ne barha dastan-e-urdu ye kam nahin hai ki mo'tarif hai teri basirat ka ye zamana raha hai sadha khulus-e-dil se tu shamil-e-ashiqan-e-urdu rawan hain taqrir aur tahrir se teri aagahi ke chashme tera qalam hai waqar-e-urdu teri zaban tarjuman-e-urdu mujalla 'ghaalib' pe kar ke shae kiya hai be-shak kamal tu ne jahan-e-ilm-o-adab ke haq mein hai khub ye armughan-e-urdu nae nae gul khila raha hai adab mein tere qalam ka jadu teri farasat ke mo'tarif hain tamam-tar nukta-dan-e-urdu agarche rahon mein teri hail hue hain diwar ban ke aksar magar tere azm-o-hausla se khajil hain sab hasidan-e-urdu ye teri koshish hifazaton ki ye tera jazba salamti ka na ho to urdu ko bech khaen zara mein ye tajiran-e-urdu misal-e-khurshid tu ne bakhshi hai raushni jin ko ilm-o-fan ki chamak rahe hain adab ke gardun pe ban ke wo akhtaran-e-urdu jo tere fan ke amin ban kar faza-e-alam pa chha gae hain badi aqidat se dekhte hain tujhe wo shaistagan-e-urdu ujala karte rahenge yunhi charagh ban kar rah-e-talab mein har ek qadam par jo tu ne chhode hain jagmagate nishan-e-urdu kaha hai tu ne bhi barha khud yahin pali hai yahin badhi hai kisi zaban ki harif hargiz yahan nahin hai zaban-e-urdu tere jihad-o-amal ke sadqe yaqin hai ai qawi ye hum ko isi tarah tu bana rahega yahan sada pasban-e-urdu