suno saheli kahun paheli hai jo koi bujhe socho samjho aur phir puchho agar tumhein na sujhe soch samajh kar kahna sunna apna ek usul phulon mein hai sab se pyara bhala kaun sa phul sosan tesu kamal motiya raat ki rani champa na na suraj-mukhi chameli din ka raja genda in ka kya hai murjhaen to khak banen ya dhul kapda ban kar jo tan dhanke wo kapas ka phul dekh bhaal kar jaanch parakh kar kahna sachchi baat dhaton mein hai bade kaam ki bhala kaun si dhat jis se banti thaal katori gagar pital tanba jhanjhar jhumar jhumka ban ke jhumke chandi sona engine motor aur mashinen jis ne kin ijad dhaton mein hai sab se aala loha aur faulad andar bahar ek rahe jo kabhi na badle bhes duniya bhar mein sab se pyara bhala kaun sa des pyar mohabbat aman shanti jis dharti ki shan sab se pyara sab se nyara apna hindostan