ye raqs-e-afrinash hai ki shor-e-marg hai ai dil hawa kuchh is tarah pedon se mil mil kar guzarti hai ki jaise aakhiri bosa ho ye pahli mohabbat bhi har ek su marg-ara hai adam-angezi-e-fitrat magar shayad nigahon mein abhi kuchh zauq baqi hai ki main is karb mein bhi kaif pata hun jahan tak dekh pata hun zamin par tabish-e-zar hai faza-e-nil-gun mein barg-afshani se manzar hai main in ranginiyon mein dub jata hun mujhe har husn goya ek dars-e-shadmani hai ki is takmil mein wo dilkashi hai wo jawani hai ki phir barbaadi-e-baad-e-khizan ka gham nahin rahta meri tarik fitrat mein bhi ek taqdis ka shoala kisi kaif-e-darun se phut jata hai koi ek qabr par jaise diya rakh de ye aain-e-gul-afrozi bhi kitna ruh-parwar hai hariri konpalon se zardgun patjhad ke patton tak mujhe ek irtiqa-e-husn milta hai magar daur-e-zaman se aah main pamal-o-afsurda kahin baitha hua guzre dinon ko yaad karta hun abhi parchhaiyan kuchh ahd-e-rafta ki meri aankhon mein hain larzan meri taswir bachpan ki abhi tak gosha-e-diwar mein hai wo bhi aawezan main pahron dekhta rahta hun is taswir ko lekin yaqin mujh ko nahin aata ki ye mera hi partaw hai har ek shai ajnabi si ghair si mahsus hoti hai na koi iztirab-e-dil na koi kahish-e-darman na zer-e-lab bhi koi talkhi-e-aiyyam ka shikwa na un ki yaad jo ab zikr bhi mera nahin karte jo shayad ab mujhe taqwim-e-parina samajhte hain main darta hun ki is duniya mein koi bhi nahin mera jo chahun bhi to kis ko dastan-e-gham sunaunga wo ranj-e-tah-nashin hai jo bayan ho hi nahin sakta wo baad-e-sard ki be-mehr tezi hai ki khun-e-dil bhi ab kuchh munjamid malum hota hai na wo shoridgi baqi na ab wo shor-e-girya hai mere dagh-e-jigar se wo tarawish bhi nahin hoti meri ranaiyan mujh se gurezan hain wo meri fitrat-e-masum wo meri jigar-sozi wo meri dard-mandi wo khamoshi wo kam-amezi wo ashkon ki dil-awezi har ek shai mail-e-parwaz ho jaise mujhe is ka bahut gham hai abhi tak is zawal-e-dilbari ka dil ko matam hai main hairan hun ki kya yazdan bhi koi tifl-e-maktab hai ki jo yun khel kar par noch leta hai patangon ke wo kaisi suraten hongi jo zer-e-khak pinhan hain magar wo log jo mitne se pahle mand pad jaen wo jin ki guftugu bhi ek sargoshi si ban jae wo afsurda pasheman muzmahil mayus aae jo faramoshi ki manzil ki taraf chupke se badhte hain bhala un ki talafi wada-e-rangin se kya hogi khuda-e-do-jahan hai tu bhi kitna shokh-o-be-parwa bahut main ne bhi ki hain dida-e-pur-khun ki tafsiren magar ye daman-e-tar kya karun gulshan nahin banta yahi wo sarzamin wo intiha-e-fikr-e-yazdan hai ki jis mein khak-o-khun ka har ghadi ek khel hota hai magar phir bhi wahi be-rangi-e-timsal-e-alam hai kahan wo manzil-e-jaan hai kahan hai khatma aakhir ye mumkin hai na koi khatma is rah-guzar ka ho main khair-o-shar ke farsuda tasawwur mein abhi gum hun nahin malum koi muntaha-e-zindagi bhi hai ki juz ek nala-e-gardish nahin sarmaya-e-alam kahin wo bagh-e-rizwan bhi na ek husn-e-tabiat ho jise gardun samajhta hun wo ek mauhum wusat ho nahin main mahram-e-raaz-e-darun-mai-kada lekin yahi mahsus hota hai ki har shai kuchh digar-gun hai dil-e-fitrat mein hai shayad tamanna-e-jahan-e-nau magar jaise urus-e-zindagi kahti ho hans hans kar ki aalam ek bahaar-e-surkhi-e-khun-e-shahidan hai ye mahr-o-mah o parwin ye zamin ye lala-o-nasrin ye fanus-e-khali ladkhada kar tut jaega ye duniya khwab ki jhuti kahani hai main is rangini-e-auraq se dil-shad kya hunga mere dil mein nahin ab aarzu-e-khuld bhi baqi mujhe ye raushni ye aasman ki be-karan wusat koi dars-e-tamasha ab nahin deti mere hue safed-o-sim ka aah ye manzar fareb-e-did hai mera kafan hoga meri is khak mein ab garmi-e-tamir kya hogi wo duniya mit chuki ab is ke mitne ka nahin kuchh gham ye marg-e-na-gahan apna nasiba tha magar ek tir jaise aaj bhi paiwast ho dil mein ki wo ranai-e-ain-e-barg-e-gul nahin mujh mein meri sham-e-khizan kyun itni viran hai?