shiddat-e-dard-o-alam se jab bhi ghabraata hun main tere naghmon ki ghani chhanw mein aa jata hun main zindagi ka aaina ye hai tere fan ka kamal hai udhar hadd-e-falak tak teri parwaz-e-khayal chal gaya sare dilon par tera sehr-e-samri jawedan ai amrita-piritam hai teri shairi shiddat-e-ehsas ho to khud sanwar jata hai fan raushni hoti hai kul duniya mein jab jalta hai man sar-phire kuchh ahl-e-fan mare hue taqdir ke yunhi be-samjhi mein hain dushman teri tahrir ke dushmanon ke war se darti na ghabraati hai tu log patthar phenkte hain phul barsati hai tu tere fan ke mo'tarif honge wo waqt aane ko hai phul tere fan ka har gulshan ko mahkane ko hai