chand lamhon ke liye shor utha dub gaya kohna zanjir-e-ghulami ki girah kat na saki phir wahi sail-e-bala hai wahi dam-e-amwaj na-khudaon mein safine ki jagah bat na saki tutte dekh ke derina tattul ka fusun nabz-e-ummid-e-watan ubhri magar dub gai peshwaon ki nigahon mein tazabzub pa kar tutti raat ke sae mein sahar dub gai mere mahbub watan tere muqaddar ke khuda dast-e-aghyar mein qismat ki inan chhod gae apni yak-tarfa siyasat ke taqazon ke tufail ek bar aur tujhe nauha-kunan chhod gae phir wahi gosha-e-zindan hai wahi tariki phir wahi kohna salasil wahi khunin jhankar phir wahi bhuk se insan ki satiza-kari phir wahi maon ke nauhe wahi bachchon ki pukar tere rahbar tujhe marne ke liye chhod chale arz-e-bangal! unhen dubti sanson se pukar bol! chatganw ki mazlum khamoshi kuchh bol bol ai pip se riste hue sinon ki bahaar bhuk aur qaht ke tufan badhe aate hain bol ai ismat-o-iffat ke janazon ki qatar rok un tutte qadmon ko unhen puchh zara puchh ai bhuk se dam todte dhanchon ki qatar zindagi jabr ke sanchon mein dhalegi kab tak in fazaon mein abhi maut palegi kab tak