khidki ke parde sarka kar kamre mein aa jati hain aapas mein chohlen karti hain meri hansi udati hain mez pe ek taswir hai us ko dekh ke shor machati hain main ghabra ke bhag uthta hun wo mil kar chillati hain kamre se un ki aawazen dur dur tak aati hain dur dur tak aati hain aur patthar barsati hain