phul aur sitara

sitare
ab numu ki aag maddham hoti jati hai

hawa mein nikhaton ki tazgi kam hoti jati hai
chamakte baghiyon ki jhag maddham hoti jati hai

sitare
khak mein roidagi kam hoti jati hai

magar wo phul to yakta tha
un sare gulabon mein

usi ka aks tha
mere lahu mein mere khwabon mein

sitare
ruh mein us ka nishan

ab kyun nahin milta
sitare

mere pahlu mein wo gul ab kyun nahin khilta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close