phul luTate bachche

hanste bachche gate bachche
jiwan jot jagate bachche

lakhon swang rachate bachche
ghar bhar ko bahlate bachche

ammi ko samjhate bachche
daddy se itraate bachche

apne bhole-pan se sab ki
bigdi baat banate bachche

ghar se padhne padh ke ghar ko
aate bachche jate bachche

jiwan ki sunsan dagar par
lakhon phul lutate bachche

ek khushi ki chingari se
pal pal dip jalate bachche

pyar ki is pyasi dharti par
amrit ras barsate bachche

raat hui to bhul ke sab kuchh
so gae nind ke mate bachche

sun ke kahani dadi man se
khwabon mein ithlate bachche

sapnon ki dewi ke mehman
din bhar shor machate bachche

subh hui to phir jag utthe
lahraate itraate bachche

nanhe munne pyare pyare
mithe bol sunate bachche

desh ki shobha ghar ki zinat
dil mein rah banate bachche

kal ki ek daulat hain 'shakir'
aaj ke hanste-gate bachche


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close