chand-nagar se KHat aaya hai

chand-nagar se khat aaya hai
dekhna is mein kya likkha hai

is mein likha hai pyare bachcho
main aakash pe baitha baitha

tum sab logon ki duniya ko
khamoshi se dekh raha hun

is mein likha hai pyari duniya
pahle kitni bholi-bhaali

nili barf ke gole jaisi
sundar si achchhi lagti thi

is mein likkha pyare bachcho
ab ye khun ki rangat jaisi

ab ye aag ke shoalon jaisi
surkh nazar aaya karti hai

is mein likha hai is duniya ko
kyon tariki ne ghera hai

nafrat ki ghanghor ghata ka
kyon kala baadal chhaya hai

is mein likha hai achchhe bachche
pyar ke raushan diye jalao

mujh se ujli raushni le lo
apni duniya ko chamkao

chahe main pad jaun mand
faqat tumhaara pyara chand

chand-nagar se khat aaya hai
dekhna is mein kya likkha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close