khushnuma hai hayat phulon ki dekhna kaenat phulon ki juhi champa chameli aur gulab nam bachchon ke zat phulon ki titliyon ki tarah sajal nazuk un ki har baat baat phulon ki ye nahin jaante ki gham kya hai din hai phulon ka raat phulon ki wo jo padhte hain aur likhte hain aur karte hain baat phulon ki lahlahata chaman hujum-e-bahaar muskuraati hai zat phulon ki ilm ki raushni ke dip jalen mahki mahki hai raat phulon ki nazr-e-‘makhdum’ hai ghazal bachcho shakhsiyat thi hayat phulon ki phul ki tarah madrason mein 'waqar' saj rahi hai baraat phulon ki