maqsad ki aankh ka nur aakhir hamari niyyaton mein hi chamakta hai munjamid hone ke dar se mujhe aane wale mehmanon ka intizar ziyaada karna hoga meri halawat meri ragon mein machal rahi hai ek mithas bhari ghulawat jo halaq par lazzat ki dastak deti hai main fridge mein padi apni karwaton mein itra rahi hun jis ke nuqush bilorin botal par raqs karte hain aane walon ka intizar lamba ho raha hai meri ragon mein burudat jam rahi hai khali hone ka shauq bada zalim hota hai magar ye kya ye aawaz kaisi aaj mehman nahin aa rahe kya meri murad aur mera sher baqi rahega