apne apne kaamon se waqt jo bhi bachta tha sath hum batate the jo samay guzarte the un ki jag kahani bhi ek dusre ko hum shauq se sunate the laut kar main office se jis ghadi thaka-haara apne ghar mein aata tha sab takan din-bhar ki apne dar ki chaukhat se dur chhod aata tha yaad hai mujhe ab tak din wo talkh mazi ka boss apne ghar se jab pit-pita ke aae the taza taza chehre par har taraf kharonche thin kat-khani si billi ne shayad apne panjon se donon gal noche the naukri to karna thi chaakari bhi karna thi so janab-e-wala ne roz ki tarah pahle haal boss ka apne phone par hi puchha tha aur phir receiwer se phone ke cradle ko bebasi se pita tha aan-janab ne us din jis qadar bhi ghussa tha mujh pe hi utara tha mera jaisa bad-qismat jab bhi samne aaya dant kar bhagaya tha main bhi kam na tha un se apni desk par ja kar filon ko de patkha aur apne jaison par be-qusur hi barsa ye katha meri biwi sun ke khilkhila uthi aur apni din biti khud hi phir shurua kar di aaj meri masi ne phir gilas shishe ka chakna-chur kar dala sirf ye nahin balki kapde dhone wali ne silk ka wo dupatta kal hi jo kharida tha bor bor kar dala main ne bhi lagi-lipti kuchh bacha nahin rakkhi jis qadar thin salwaten be-nuqat suna dalin apni apni din-biti donon jab bhi kah chukte qahqahe lagate the yun hum apni ghurbat ki khud hansi udate the wo sukun jo ghurbat ke un dinon mein hasil tha wo sukun nahin milta wo jo ghar kabhi jis mein dil hamara lagta tha us mein dil nahin lagta roz-o-shab ki gardish ne sab hi kuchh badal dala aur jo nahin badla pichhle bis barson mein ek wahi mera office log ab bhi taqriban sath mein wahi sab hain farq hai to bas itna boss ki main kursi par boss ban ke baitha hun mere apne chehre par har taraf kharonche hain saf aisa lagta hai kat-khani si billi ne jaise gal noche hain