main ne dekhi nahin khwab bunti hui ungliyan jin ka lams-e-gudaz waqt ke sard galon se bahta hua mere honton pe aaya to sadiyon ki namkiniyan sang-basta dilon ke samundar mein ubhre pahadon ka ek silsila ban chuki thin wo kya silsila tha jo ek god se gor tak reshmi tar sa tan gaya jis pe chalte zamane khudawand-e-ala ke ahkaam-e-rahmat uthae hue raqs karte guzarte to mitti pe naqsh-o-nigaran-e-gham muskuraate tujhe yaad aate tujhe yaad karte hue yun guzarte ki jaise kisi bhed-bhao bhari chandni-raat se chand ka bankpan baadalon ke ladakpan ke gale udate hue khwab-labrez pariyon se chhup chhup ke guzre ye dikhne dikhane ki sari mashiyyat ye chhupne chhupane ki sari aziyyat koi jhelta hai jo tu ne akele mein jheli main kitne dinon baad aaya tere panw chhune hisabaat computer se nikal kar kise dhundne ja chuke hain badi se badi baat ko ek bhigi hui muskurahat mein kahne ka tujh ko saliqa tha aadad o alfaz ki bhid mein kis qadar main akela hun tujh ko khabar hai ata kar mujhe bhi koi aisa achchha hunar phul honton ke murda zamane pe rakkhun to khushbu teri gul-badan ban ke jage tere sans mein sans lene ki rahat meri yaad ke bagh mein ek jadu-zada nim-khwabida shahzadi-e-zindagi ki tarah muntazir hai yahan apne hone se kis ko mafar hai koi nind mein jagne ki aziyyat nahin jaanta apni jannat ka manzar mere malgaje khwab par khol de koi shirin-takallum mere zahr mein ghol de fasla nind aur maut ke darmiyan apni maujudgi se bana kar ata mojazati hunar main to noton ki ginti mein uljhe zamane ki wo mail hun jis pe makkhi bhi aa kar nahin baithti