mere kandhe pe baitha koi padhta rahta hai injil o quran o wed makkhiyan kan mein bhinbhinati hain zakhmi hain kan apni aawaz kaise sunun rana hindu tha akbar musalman tha sanjai wo pahla insan tha hastinapur mein jis ne qabl-e-masih telewision banaya aur ghar baithe ek andhe raja ko yudh ka tamasha dikhaya aadmi chand par aaj utra to kya ye taraqqi nahin ab se pahle, bahut pahle jab zarra tuta na tha chashma jauhar ka phuta na tha farsh se arsh tak ja chuka hai koi ye aur aisi bahut si jahaalat ki baaten mere kandhe pe hoti hain kandhe jhuke ja rahe hain qad mera raat din ghat raha hai sar kahin panw se mil na jae